zauq-e-parwaz ki itni to pazirai kar par-shikasta hun jo main hausla-afzai kar dil-e-khush-fahm ko de phir koi khush-rang fareb phir kisi rasm se tajdid-e-shanasai kar koi khurshid bhi manzar ka muqaddar kar de sirf raushan na ye bujhti hui binai kar kaun samjhega tere karb ka mafhum yahan ghar ki diwaron ko ab mahram-e-tanhai kar naqd-e-jaan chhin magar shisha-e-pindar na tod zakhm de mujh ko na ehsan-e-masihai kar kuchh tere tarz-e-amal par bhi to harf aaega mere kirdar ki itni bhi na ruswai kar apni ruswai ko duniya ki nazar se dekhun is tamashe mein kabhi mujh ko tamashai kar yunhi rakh le meri derina rifaqat ka bharam apni tanhai mein shamil meri tanhai kar