zehn pareshan ho jata hai aur bhi kuchh tanhai mein

zehn pareshan ho jata hai aur bhi kuchh tanhai mein
taza ho jati hain choten sab jaise purwai mein

us ko to jaana tha lekin mera kyun ye haal hua
angnai se kamre mein aur kamre se angnai mein

us ke dil ka bhed usi ki aaankhon se mil sakta tha
kis mein himmat hai jo utre jhilon ki gahrai mein

ek hi ghar ke rahne wale ek hi aangan ek hi duwar
jaane kyun badhti jati hai nafrat bhai bhai mein

nur basirat ka bakhsha kal tak main ne jin ko 'zubair'
farq nazar aata hai un ko ab meri binai mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close