zer-e-mehrab na baala-e-makan bolti hai khamushi aa ke sar-e-khalwat-e-jaan bolti hai ye mera wahm hai ya mujh ko bulate hain wo log kan bajte hain ki mauj-e-guzaran bolti hai lo sawal-e-dahan-e-basta ka aata hai jawab tir sargoshiyan karte hain kaman bolti hai ek main hun ki is aashob-e-nawa mein chup hun warna duniya mere zakhmon ki zaban bolti hai hu ka aalam hai giraftaron ki aabaadi mein hum to sunte the ki zanjir-e-giran bolti hai dard ke bab mein timsal-gari hai khamosh ban bhi jati hai to taswir kahan bolti hai