zer-e-zamin utar gae ya sar-e-asman gae

zer-e-zamin utar gae ya sar-e-asman gae
pesh-rawan-e-rah-e-zist kaun kahe kahan gae

koi raha na aas pas ai dil-e-dost-na-shanas
chhod ke tujh ko mahw-e-yas sab tere mehrban gae

arsa-e-arzu mein thin yun to hazar wusaten
tere qarib hi rahe ahl-e-wafa jahan gae

hosh ke marhalon mein ek marhala-e-junun bhi tha
wadi-e-wahm se sabhi fikr ke karwan gae

jab bhi hawa-e-dasht ne ahl-e-junun ko di sada
mauj-e-shamim-e-gul ke sath hum bhi kashan kashan gae

kaise wo log the jinhen be-khabari qubul thi
hum to junun-e-agahi le ke gae jahan gae

ahd-e-junun ke mashghale waqt ne sab badal diye
shauq ki laghzishen gain zabt ke imtihan gae

aakhir-e-kar khamushi hi se khule dilon ke raaz
harf-e-sukhan zaban pe jo aae the raegan gae

hosh ki juraten tamam hadd-e-yaqin pe ruk gain
khalwat-e-naz tak teri sirf mere guman gae

zehn ki chob-e-khushk ko phunk gai sukhan ki aanch
dud-e-nawa ke daere jaane kahan kahan gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close