zer-o-bam se saz-e-khilqat ke jahan banta gaya ye zamin banti gai ye aasman banta gaya dastan-e-jaur-e-behad khun se likhta raha qatra qatra ashk-e-gham ka be-karan banta gaya ishq-e-tanha se huin aabaad kitni manzilen ek musafir karwan-dar-karwan banta gaya main tere jis gham ko apna jaanta tha wo bhi to zeb-e-unwan-e-hadis-e-digaran banta gaya baat nikle baat se jaise wo tha tera bayan nam tera dastan-dar-dastan banta gaya hum ko hai malum sab rudad-e-ilm-o-falsafa han har iman-o-yaqin wahm-o-guman banta gaya main kitab-e-dil mein apna haal-e-gham likhta raha har waraq ek bab-e-tarikh-e-jahan banta gaya bas usi ki tarjumani hai mere ashaar mein jo sukut-e-raaz rangin dastan banta gaya main ne saunpa tha tujhe ek kaam sari umr mein wo bigadta hi gaya ai dil kahan banta gaya wardat-e-dil ko dil hi mein jagah dete rahe har hisab-e-gham hisab-e-dostan banta gaya meri ghutti mein padi thi ho ke hal urdu zaban jo bhi main kahta gaya husn-e-bayan banta gaya waqt ke hathon yahan kya kya khazane lut gae ek tera gham ki ganj-e-shaigan banta gaya sar-zamin-e-hind par aqwam-e-alam ke 'firaq' qafile baste gae hindostan banta gaya