zikr-e-nashat khalwat-e-gham mein bura lage tum bhi agar milo to mujhe hadisa lage jab bhi kisi ki sai-e-karam ki hawa lage mujh ko mera wajud bikharta hua lage hun mujrim-e-hayat mujhe kyun bura lage ye daur-e-zindagi jo musalsal saza lage is daur ka nasib hai wo manzil-e-hayat ahbab ka khulus jahan saneha lage haalat sans lete hain dahshat ki chhanw mein mera zamir mujh hi se darta hua lage yun uth gai hai dahr se apnaiyat ki ab miliye jo khud se bhi to koi dusra lage is tarah raegan gai 'nazish' meri wafa jaise kisi faqir ke dar par sada lage