zikr-e-visal maut ka paigham ho gaya

zikr-e-visal maut ka paigham ho gaya
aisi khushi hui ki mera kaam ho gaya

main mast-e-chashm-e-saqi-e-gulfam ho gaya
aankhon ka dora dora khat-e-jam ho gaya

shab tum kahin rahe tumhein kuchh kaam ho gaya
lo hath lao kyon hamein ilham ho gaya

kunj-e-lahad mein roi meri bekasi mujhe
matiya-mahal ke goshe mein kohram ho gaya

kothi pe tum chadhe jo sar-e-sham be-naqab
ghairat se aaftab lab-e-baam ho gaya

be-wajh surkhi-e-lab-e-qatil ghalat ghalat
isa shahid-e-lazzat-e-dushnam ho gaya

hum ibtida-e-umr mein us but pe mar-mite
aaghaz hi mein khair se anjam ho gaya

chhaale hain tegh-e-yar mein bismil hai sakht jaan
sil ho gai use use sarsam ho gaya

hai ye namak ka pas ki kahte hain mere zakhm
bhar paya hum ne sab hamein aaram ho gaya

allah re ye qadr bika kaudiyon ke mol
tera shahid huron mein nilam ho gaya

piri mein shauq-e-did-e-butan ho gaya haram
tar-e-nigah jama-e-ehram ho gaya

farman-bari ne dawe khudai ke kho diye
allah teri shan wo but ram ho gaya

bhadka diya hai soz-e-darun chashm-e-zar ne
aankhon ka tel roghan-e-baadam ho gaya

meri tarah hai tair-e-rang-e-hina asir
sayyaad tere hath ka khat dam ho gaya

rakh li khuda ne khanjar-e-qatil se aabru
'rasikh' bala se jaan gai nam ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close