zikr us raat se hai wabasta jo teri zat se hai wabasta jit meri faqat meri to nahin ye teri mat se hai wabasta aankh se le ke dil talak ka safar inkishafat se hai wabasta koi to hai jo teri aankhon ke in ishaaraat se hai wabasta mere ashaar mein tera paikar istiaraat se hai wabasta fikr ab tak teri kahani ke iqtibasat se hai wabasta thin meri aankh mein kabhi kirnen ab jo barsat se hai wabasta hijr ke mod par jami hai nazar aur lamhat se hai wabasta kis ki aamad hai aaj jo 'zaryab' intizamat se hai wabasta