zindagani ranj aur gham ke siwa kuchh bhi nahin

zindagani ranj aur gham ke siwa kuchh bhi nahin
uf ki har-dam sog-o-matam ke siwa kuchh bhi nahin

roz-o-shab apne guzar jaana dayar-e-ghair mein
dastan-e-azm-e-mohkam ke siwa kuchh bhi nahin

kaun dahshat-gard hai aur kaun hai dahshat-zada
ye sab ek ibham-e-paiham ke siwa kuchh bhi nahin

gunjti hai khamushi har-dam jo mere chaar-su
dar-haqiqat shor-e-alam ke siwa kuchh bhi nahin

tum jise samjhe ho duniya us ke aanchal ke tale
gesuon ke pech aur kham ke siwa kuchh bhi nahin

dekhta rahta hai bandon par musalsal sakhtiyan
kya khuda ek ism-e-azam ke siwa kuchh bhi nahin

dewta si fikr aur tarz-e-amal ke bawajud
aadmi bas ibn-e-adam ke siwa kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close