zindagani sarab ki si tarah By Ghazal << jo nahin lagti thi kal ta... ye teri dushnam ke pichhe... >> zindagani sarab ki si tarah baad-bandi hubab ki si tarah tujh upar khun be-gunahon ka chadh raha hai sharab ki si tarah kaun chahega ghar basar tujh ko mujh se khana-kharab ki si tarah tuk khabar le ki tere hathon sin jal raha hun kabab ki si tarah Share on: