zindagi ab rahe KHata kab tak

zindagi ab rahe khata kab tak
jurm ki barha saza kab tak

nakhuda hun main apni kashti ka
ye khudaon ka silsila kab tak

apni pathra gai hain aankhen bhi
husn parda uthaega kab tak

kaun pakdega bhagte sae
kaun dekhega rasta kab tak

ghaaliban aur shahrahen hain
ek hi band rasta kab tak

aadmi aadmi ka dushman hai
jaane ho mehrban khuda kab tak

be-sabab phir rahe hain muddat se
kijiye waqt ka gila kab tak

kaam apna 'hari' parastish hai
be-asar phir rahe dua kab tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close