zindagi chupke se ek baat kaha karti hai waqt ke hathon mein kab dor raha karti hai sard si shamon mein chalti hai udasi ki hawa chandni raat bhi khamosh raha karti hai tum to aae ho gulabon ke liye der ke baad qarya-e-jaan mein to ab khak uda karti hai be-sabab aankhon mein aansu bhi nahin aate ab wahshat-e-dil bhi kahin dur raha karti hai raushni mein to nazar aate hain kitne sae par ye tariki to saya bhi juda karti hai hum bhi kho jaenge ek roz ufuq par yunhi kab kisi se ye 'farah' zist wafa karti hai