zindagi hai ishq meri ruh khuddari meri wa-e-majburi meri sad-haif mukhtari meri garche tum ho hasil-e-hasti magar ai jaan-e-zist daulat-e-didar se badh kar hai nadari meri tum ko nazron se ba-majburi gira sakta to hun jaane phir kya rang dikhlae ye mukhtari meri ishq ne kar di hai mujh par qismat dil aashkar kya jhukegi ab tumhaare dar pe khuddari meri zarra zarra sans leta man ko aata hai nazar meri hasti talkh kar degi ye bedari meri