zindagi karne ke hile na bahane aae hum to duniya mein faqat khak udane aae yaad-e-mazi mein faramosh kiya farda ko arsa-e-ishq mein aise bhi zamane aae dil wo basti hai ujad jae to basti hi nahin kitne sada hain use phir se basane aae masala koi nahin aisa jo hal ho na sake bas isi baat pe duniya ko manane aae wo siyasat hai ki har raushni tarik hui phir bhi hum mishal-e-jaan apni jalane aae jab bhi bazar mein khuddariyan nilam huin dam un ke bhi to hum jaise badhane aae ab ke kya tha ki khizan ne bhi to murda na kiya mausam-e-gul se kaho hum ko rulane aae