zindagi ki sham hai izn-e-safar hone ko hai ek musafir wo hun jo ki dar-ba-dar hone ko hai dagh-dar is dil ko le kar hum kahan ab jaenge fitna-gar wo shahr-bhar mein jalwa-gar hone ko hai jo hamari jaan the hone lage hain ajnabi kaisa kaisa zakhm kari ruh par hone ko hai ai shab-e-gham tu bata in hasraton se kya kahen bach rahi hain chand sansen aur sahar hone ko hai ek bala ke ba'd phir se ek bala aati rahi lazmi ek zarb hum par kargar hone ko hai dastan-e-gham suna kar wo to uth kar chal diye phir se hum par gham ki barish taza-tar hone ko hai hain meri aankhon mein aansu aur labon par jaan hai zindagi ai zindagi tu mukhtasar hone ko hai jo ki mangi thin duaen kho gain jaane kahan kuchh hai ghabrahat ki ye sab be-asar hone ko hai un ka aana tha ki sare baam-o-dar sajne lage khushnuma is shahr ki har rahguzar hone ko hai bas nazar ki baat thi jo hum ko ghayal kar gai qatl-gah-e-ishq ki hum par nazar hone ko hai kuchh to aisi baat hai wo baam par aane lage kis pe mail aaj-kal bedad-gar hone ko hai hum ne 'barham' dekh li ye zindagi wo zindagi dekhte hi dekhte khun-e-jigar hone ko hai