zindagi ki yahi kahani hai sans aani hai aur jaani hai tum jo hote to baat kuchh hoti ab ki barish to sarf pani hai ek taraf us ki bolti aankhen ek taraf meri be-zabani hai yun hi sunte rahen agar dil ki yaad rakhiye ki jaan jaani hai dhup lagti hai baadalo jaisi ye mohabbat ki saebani hai bahti jati hun ek samundar mein us ki yaado ki baadbani hai har taraf khar khar hai gulshan baghban khub baghbani hai aashna hun main ab sarabon se main ne sahra ki khak chhani hai 'chandni' ki ghazal-wazal sahab us ke khwabon ki tarjumani hai