zindagi ko hum wafa tak wo jafa tak le gae apne apne fan ko donon intiha tak le gae laghzishon mein kya muafi ki tawaqqo ho ki jab be-gunahi ko bhi meri wo saza tak le gae sahilon par aur bhi khush-zauq the lekin mujhe paniyon ke rang har mauj-e-bala tak le gae ji rahi hai ab to basti ek sannate ke sath jabr ke mausam faqiron ki sada tak le gae ek zabun-haali to thi par tum meri tarikh ko chand hi barson mein daur-e-ibtila tak le gae aasman ki dushmani itni bhi yak-tarfa nahin hum bhi dharti ki balaon ko khala tak le gae hum ne khud apni duaon ko kiya hai be-asar hum jo chhoti chhoti baaten bhi khuda tak le gae kho chuke the waqt ki pahchan bhi 'shahzad' hum ajnabi lamhe magar ek aashna tak le gae