zindagi ko meri mahrum-e-dua rahne de jo bhi taqdir mein likkha hai likha rahne de bistar-e-marg pe chup-chap pada rahne de gham ke shoalon ko na de aur hawa rahne de pyar ka panchhi palat aaega kal mumkin hai wapsi ke liye darwaza khula rahne de khub sajti hai labon par tere phulon ki mahak apne honton pe tabassum ki ziya rahne de tu amiron ka musahib hai mubarak ho tujhe mere hisse mein gharibon ki dua rahne de waqt ne phul se hathon mein diya hai khanjar aise haalat mein mat khwab saja rahne de fasl ikhlas ki 'ashraf' na jhulas jae kahin aag nafrat ki na sine mein jala rahne de