zindagi maut ki panah mein hai ye haqiqat meri nigah mein hai zindagi gham ka istiara hai dard jiwan ke sal-o-mah mein hai maut ke baad phir se jina hai jaane kya kya dil-e-ilah mein hai koi majnun ki aankh se dekhe kis qadar nur ru-siyah mein hai itni raftar raushni ki nahin jitni surat kisi ki aah mein hai mulk-e-kanan gharq-e-zulmat hai mah-e-kanan ab bhi chah mein hai bin lade jang haarne wale tera dushman teri sipah mein hai qabr-e-'naqqash' dhundne walo meri mitti khuda ki rah mein hai