zindagi mein pahle itni to pareshani na thi tang-damani thi lekin chaak-damani na thi jam khali the magar mai-khana to aabaad tha chashm-e-saqi mein taghaful tha pashimani na thi ghaza-e-gham ek tha the sab ke chehre mukhtalif ghaur se dekha to koi shakl anjaani na thi jin safinon ne kabhi toda tha maujon ka ghurur us jagah dube jahan dariya mein tughyani na thi tujh se ummid-e-wafa khwab-e-pareshan to na thi bewafa umr-e-gurezan thi ki tulani na thi padh chuka apni ghazal 'manzur' to aisa laga marsiya tha daur-e-hazir ka ghazal-khwani na thi