zindagi pai hai ek chashm-e-sitam-gar ki tarah hum pareshan hain gharibon ke muqaddar ki tarah apna tan karb-o-bala ban ke jala hai barson hum bhi pyase hain bahut aal-e-payambar ki tarah ab koi ram nahin gham ka dhanush jo tode zindagi roti hai sita ke swayamwar ki tarah hum ne chaha tha ki hum apni tarah se ji len hum pe ilzam barasne lage patthar ki tarah roz ji uthte hain suraj ki kiran ke hamrah aur mar jate hain har sham samundar ki tarah jate raston mein kahan us ko ganwa aae 'hasan' ek naqsha sa nigahon mein jo tha ghar ki tarah