zoam sahraon ka mitti mein mila sakta hun main han isi sukhe gale se git ga sakta hun main manta hun main nahin koi samundar sa wasia par kisi pyase ko pani to pila sakta hun main baith kar sahil pe itni to tasalli ho gai chand lamhon ko sahi ek ghar bana sakta hun main ek din to khud-talashi had se bahar ho gai yun laga aaina ke bhi par ja sakta hun main tum sarapa dil ho jo sine se bahar rah gaya kya kisi din tum ko sine se laga sakta hun main