zulm jab had se siwa ho to ayan hota hai dast-e-mazlum mein bhi sang-e-giran hota hai aahen bharne ke siwa kuchh na karega lekin ek dhamaka hi to tasir-e-fughan hota hai jaan kar be-sar-o-saman kabhi zulm na kar sath mazlum ke khud rabb-e-jahan hota hai kaun hai wahshi yahan kaun hai mazlum bhala us ka akhbar mein har roz bayan hota hai tinke ban kar yunhi bah jate hain zalim sare jab bhi insaf ka sailab rawan hota hai waqt ke aane se pahle hi sanbhal ja warna rona-dhona tera bilkul hi ziyan hota hai zulm par khamushi danai nahin hai 'nadir' jaanta khub hai jo ahl-e-zaban hota hai