zulmaton ki sahar nahin aati aarzu koi bar nahin aati khud-nigar wo hain aur hum khuddar bigdi banti nazar nahin aati nau-giraftar-e-dam-e-ulfat hain aah bhi karni sar nahin aati mulk-o-millat bhi ho chuke nilam hum ko ghairat magar nahin aati arsh se bekason ki aah kabhi laut kar be-asar nahin aati aib-e-aghyar par hai sab ki nazar apni surat nazar nahin aati waqt ki tarah phir mere hamdam zindagi laut kar nahin aati aadmi aadmi ka shor bahut aadamiyyat nazar nahin aati muttahid hon jo apne begane kyon wo surat nazar nahin aati haif 'gulzar' mulk-o-millat mein ab nasim-e-sahar nahin aati