'zahra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai haalanki dar-in-asna kya kuchh nahin dekha hai par likkhe to kya likkhe? aur soche to kya soche? kuchh fikr bhi mubham hai kuchh hath larazta hai 'zahra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai! diwani nahin itni jo munh mein ho bak jae chup-shah ka roza bhi yunhi nahin rakkha hai budhi bhi nahin itni is tarah wo thak jae ab jaan ke us ne ye andaz banaya hai har chiz bhulawe ke sanduq mein rakh di hai aasani se jine ka achchha ye tariqa hai 'zahra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai! ghar bar, samajhti thi, qila hai hifazat ka dekha ki grihasti bhi mitti ka khilauna hai mitti ho ki patthar ho hira ho ki moti ho ghar-bar ke malik ka ghar-bar pe qabza hai ehsas-e-hukumat ke izhaar ka kya kahna! inam hai mazhab ka jo hath mein koda hai 'zehra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai! diwar pe tanga tha farman rifaqat ka kya waqt ke dariya ne diwar ko dhaya hai farman-e-rifaqat ki taqdis bas itni hai ek jumbish-e-lab par hai, rishta jo azal ka hai 'zahra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai! do beton ko kya pala nadan ye samajhti thi is daulat-e-duniya ki malik wahi tanha hai par waqt ne aaina kuchh aisa dikhaya hai taswir ka ye pahlu ab samne aaya hai badhte hue bachchon par khulti hui duniya hai khulti hui duniya ka har bab tamasha hai man bap ki surat to dekha hua naqsha hai dekhe hue naqshe ka har rang purana hai 'zehra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai! socha tha bahan bhai dariya hain mohabbat ke dekha ki kabhi dariya rasta bhi badalta hai bhai bhi giraftar-e-majburi-e-khidmat hain bahnon pe bhi tari hai qismat ka jo likkha hai ek man hai jo pedon se baaten kiye jati hai kahne ko hain das bachche aur phir bhi wo tanha hai 'zehra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai
This is a great fatima zahra shayari. True lovers of hasna mana hai shayari will love this. Please share if you liked this!!!