nazm-e-jahan ko zer-o-zabar dekhta hun main mada ke ikhtiyar mein nar dekhta hun main aankhon pe ban rahi hai agar dekhta hun mein ye jaanta hun un ko magar dekhta hun main main dekhta nahin hun agar dekhte hain wo wo dekhte nahin hain agar dekhta hun main waiz ne mujh mein dekhi hai iman ki kami waiz mein sirf dum ki kasar dekhta hun main ab ye hui hai jalwa-numai ki intiha wo samne date hain jidhar dekhta hun main allah-re roab-o-dab-e-junun bhagta hai wo jis ki taraf utha ke nazar dekhta hun main kahti hai har girah ki rihai muhaal hai jab chonch se tatol ke par dekhta hun mein jis waqt mil ke padhte hain donon kitab-e-ishq wo zer dekhte hain zabar dekhta hun main