ye khatmal ye makkhi ye machchhar ki duniya ye langur bhaalu ye bandar ki duniya ye kutton gadhon aur khachchar ki duniya ye duniya agar mil bhi jae to kya hai ye aurat ye mardon ye chhakkon ki duniya nihatton ki hathiyar-bandon ki duniya ye daku police aur ghundon ki duniya ye duniya agar mil bhi jae to kya hai ye choron ye luchchon lafangon ki duniya ye kamzoron ki aur dabangon ki duniya tap-e-diq ke bimar changon ki duniya ye duniya agar mil bhi jae to kya hai ye bush-junior aur obaamon ki duniya ye amrikiyon ke ghulamon ki duniya ye mulla-umr aur usamon ki duniya ye duniya agar mil bhi jae to kya hai janabon ki izzat-maabon ki duniya ye achchhon ki duniya kharabon ki duniya ye chamchon ko milte khitabon ki duniya ye duniya agar mil bhi jae to kya hai ye banduq katon tamanchon ki duniya ye football ki aur kanchon ki duniya khushamad mein mashghul chamchon ki duniya ye duniya agar mil bhi jae to kya hai hawai jahazon ki railon ki duniya hawalat ki aur jailon ki duniya ye trakon ki duniya ye thelon ki duniya ye duniya agar mil bhi jae to kya hai raison ki duniya mein kadkon ki duniya ye be-kar aawara ladkon ki duniya traffic se bad-haal sadkon ki duniya ye duniya agar mil bhi jae to kya hai