hamare sath ki sab laDkiyan ab naniyan hongi

hamare sath ki sab ladkiyan ab naniyan hongi
kabhi biscuit thin lekin ab wo baqar-khaniyan hongi

hamare rahnumaon ne kuchh aise bij boe hain
jahan tarbuz ugte the wahan khubaniyan hongi

tumhin socho ki phir baraatiyon ka haal kya hoga
agar shadi mein jackson-heights ki biryaniyan hongi

election phir wo zil-hijj ke mahine mein karaenge
to kya do dant ke woter ki phir qurbaniyan hongi

ajab andaz se jannat mein wo huron pe jhaptenge
magar mullaon ko pakde hue mullaniyan hongi

mere daman mein khush-daman ne ek hira jo dala hai
ye daulat hai to phir kya be-sar-o-samani hongi

jo s-m-s pe har ladke ko dars-e-ishq deti hain
wo sari ladkiyan collage mein kal ustaniyan hongi

yahan tum sajda-e-tazim-e-insan ko baja lao
wahan zanjir mein jakdi hui peshaniyan hongi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close