bahut mazlum hai is shahr mein shair ki ghar wali mohabbat ki ghiza se ab tak us ka pet hai khali ye gori raat ki tanhaiyon mein ho gai kali karachi mein jo rahti hai ye aisi hai miyan-wali 'nadim' o 'faiz' ke naqsh-e-qadam par taj hai is ka adab ki khak par baitha hua sartaj hai is ka ye us shair ki biwi hai jo shair khandani hai ghazal jis ki zamin-e-tang mein bhi aasmani hai is international shair mein dariya ki rawani hai dubai jeddah abu-dhabi tak is ne khak chhani hai ghazal padhne se bilkul actor malum hota hai badhi hain is qadar zulfen 'jigar' malum hota hai guzarti hai hamesha ghar se bahar zindagi is ki bahut mahdud ho kar rah gai hai family us ki sada katti hai bazm-e-shairi mein raat bhi us ki sahar ke chhe baje hoti hai aksar wapsi us ki magar shair ki biwi phir bhi us ki nam-lewa hai jo din mein to suhagan hai magar raaton ko bewa hai guzarti hai badi mushkil se bechaari ki raat aakhir kalam-e-'josh' padh ke gham se pati hai najat aakhir rahegi ghar mein tanha kab talak aurat ki zat aakhir na ho shauhar to padh leti hai yaadon-ki-baraat aakhir kalam-e-'josh' tanhai mein ye rozana padhti hai ki jo rizwan padhta hai wahi rizwana padhti hai abhi guddu hua hai aur abhi ummid-e-sima hai jo qabl-az-waqt aa pahunche ye ek aisa zamima hai bana de ghar ko tarikhi yahi shair ka ima hai agar shair ka ghar dekho to aasar-e-qadima hai numaish is tarah shair ne bachchon ki lagai hai ki jaise us ke majmue ki rasm-e-ru-numai hai kaha shair ne biwi se ki tum meri qayafa ho mere bachche mera mazmun hain tum khali lifafa ho hudud-e-zindagi mein ghair-mamuli izafa ho mere dil ki hukumat ka tumhin dar-ul-khilafa ho na jis se pyas bujh pae wo k-m-c ka nal tum ho haqiqat ye hai meri ghair-matbua ghazal tum ho