naddiyan mere qadmon ke niche se bahti chali ja rahi hain pahad mere ghutnon aur darakht mere rongton par rashk kar rahe hain phaili hui zamin par main kitna uncha ho gaya hun chand mere mathe par hai aur suraj hathon ka khilauna hai khuda meri khopadi ke andar chamgadad ki tarah phadphada raha hai samundar mera panw chum rahe hain aur tahziben tez-o-tund hawaon ki tarah sansanahat paida kar rahi hain ki main zamin ko hath mein le kar is tarah uchhaal sakta hun jaise bachche gend uchhaala karte hain hazaron baras se main ne yahi khwab dekha tha ki main khuda ho jata ab mujhe khuda rahna bhi gawara nahin logon ne mere qadmon pe sar rakh diye hain lekin mera sar jo ab ek bada sa bojh ban gaya hai ise main kahan rakkhun jannat mere dahne hath mein hai aur dozakh baen hath mein aur sar par nur ka taj hai farishte mere chaaron taraf hain lekin ab main kya karun mujhe to dar lagta hai ki ab main budha ho gaya hun
Please share if you liked this!!!