wo kya nawa thi ki jis ki lau se ufuq raushni ke manzar sanwar gae the bahaar-e-asar-e-lahn kya tha ki khushk shakhon ke zard chehre gulab-rangon se dhul gae the kali kali ke gudaz shanon par khushbuon ke latif parcham nae saweron se aashnai ko khil gae the wahi nawa dubti shabon mein azan-e-subh-e-niyaz ban kar hawa ke honton pe khelti jab dilon mein utri to jism ki sarhadon ke us par munjamid tirgi ki shakhon par raushni ke gulab ubhre kiran kiran aaftab ubhre