aadhi gawahi

azim munsif!!
hamari qismat ki har adalat ka faisla hai

ki apni be-hurmati ki farman le ke jaen
to apna koi gawah laen

gawah
rishton ke mohtaram kundliyon mein baithe

sanpoliyon ka
gawah aisi haweliyon ka

ki jin mein qanun paon dharne se kapkapae
kunwari chikhen

bilak bilak ke sadaen karti
in hi andheron mein dub jaen

magar wo is be basi ka apni
na ek koi gawah paen

kahan se laen
gawah in bhediyon ka

jo apni shahwaton par
ibaadaton ki muqaddas-o-mohtaram ebaen

sajae baithe hon tak mein
saundhe kachche jismon ke

jin ke bajron ke ud mein
siskiyan sulagti hon raat ko

aur din tilawat ke lahn se
jagmagae jaen

ye mohtaram bhediye
hum un ki khabasaton ka gawah laen

kahan se laen
hamein koi aisa moajaza de

ki gungi andhi siyah shab ko
gawahiyon ka hunar sikhaen

khabir hai to
basir hai to

tu jaanta hai
ki aaj tak maut ke alawa

koi na apna gawah paya
hamin pe tutin qayamaten bhi

hamin ne zillat ka bar uthaya
kitab-e-insaf ke musannif

tere sahife to kah rahe hain
ki sare insan zi-sharaf hain

fahim hain
baalighun-nazar hain

sab apni apni kitab ki ru se apne bare mein ba-khabar hain
to phir hamare hi pusht par hath kyun bandhe hain

hamari hi sab gawahiyon par ye be-yaqini ki mohr kyun hai
sabhi sahifon mein ye likha hai

tere taraazu ka
koi palda jhuka nahin hai

to kya ye samjhen
hamara koi khuda nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close