karachi ek zakhmi khanaman-barbaad kachhwa jis ke sab bazu thakan se bebasi se shal hue hain jahan bhar ke dukhon ka bojh uthae bahut halkan khushki par pada hai ab apne aansuon se zakhm bharna chahta hai jo ande bach gae hain wo sambhaale samundar mein utarna chahta hai