chand ne daghon ko dhona chaha taki pur-nur badan wadi-e-ehsas ko raushan kar de chashma-e-subh ki jaanib wo badha jaise hi marmarin kirnon pe saffak andheron ka hujum hamla-awar hua qazzaq-e-ajal ki manind tut kar chand gira ghaar-e-siyah mein aankhen bujh gain mahfil-e-anjum ki subuk-rau shamen sar nigun mohr-ba-lab pahle to kuchh der jalin tab baqi na rahi jab to siyah-posh huin aur phir chaar taraf raat ka aanchal phaila