nisfunnahaar se meri sochon ka aaftab rakhta hai layer layer meri zist ki kitab mujh mein idhar bichha ke ye dariya yaqin ke thokar udhar laga ke dikha ke mujhe sarab ai al-aman ye bhadki hui aagahi ki pyas dasht-e-junun mein chikh rahi hun main aab aab