aagahi

zindagi kya hai raushni ke siwa
raushni kya hai ek khushi ke siwa

ye khushi wadiyon ki chhanw mein
nachti hai har ek patti par

chum leti hai baadalon ke hisar
udti phirti hai sukh ki basti par

mere dil mein humak rahi hai abhi
aatishin rang ye kiran hi to hai

aankh mein dip jal uthe hon jahan
ye khushi ek hasin milan hi to hai

apne hone pe sharmsar na ho
ye khushi tujh ko bhi bulaegi

raat kitni hi ghup andheri ho
raat aakhir guzar hi jaegi

zindagi raushni ki chahat mein
ek naya azm le kar utthegi

tod dalegi zulmaton ki fasil
ek nai subh le ke utregi

zindagi raushni ke raste mein
apna sab kuchh lutane aai hai

apne suraj ki aarzu le kar
in andheron ko dhane aai hai

kya hua gar hamein sahar na mili
ek khwahish to chhod jaenge

aane wali hawaon ke rukh par
aagahi ka diya jalaenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close