guzarna hi agar thahra to aahista se guzro koi aahat na ho pae abhi raste mein rasta so raha hai abhi virani ke pahlu mein khwabida hai khamoshi abhi tanhai se lipti masafat so rahi hai kahin aisa na ho dasht-e-tahayyur jag jae lahu mein be-karan gham ka samundar jag jae abhi to pahle dar hi se ragon mein khamushi hai abhi to khun ki har bund ruk ruk ke sarakti hai abhi gham dil mein kuchh is andaz se karwat badalta hai nahin hota zara mahsus bhi wo sans leta hai ba-zahir so raha hai ye samundar is ko sone do hamein bhi apne hone par zara sa khul ke rone do guzarna ho to is manzar se aahista bahut aahista se guzro abhi to dhup chhanw ka tamasha ho raha hai abhi ashjar ke sae mein dariya so raha hai koi is ke kinare baadalon sa ro raha hai