aaina chehron ka jahan hairat magar wo mujhe mera chehra dene se qasir hairat-zada ho kar main ne barha aaine mein jhanka kitne hi aaine badal dale har ek se apna chehra manga aaine par apne gum-shuda chehre ki kai nishaniyan tak ibarat kar dalin lekin main kahin maujud nahin tha shayad main aaine se gum ho gaya tha aur wo mujhe be-chehragi ki saza suna chuka tha saza ke is silsile ka inhiraf kar kar ke main ne apne andar jhanka to hairangi mujh se lipat padi mera chehra mere andar un aaluda lamhon ki qaid mein tha jin ka shikar ho kar main ne kabhi aaine ko dhundla kiya tha