mujhe aaj phir wo nazm shiddat se yaad aai jo main ne barson pahle ek khwab ke bikhar jaane par kahi thi waise main ne arse se khwab dekhna band kar diya tha yani sarabon ke pichhe bhagna chhod diya tha magar khwab kab pichha chhodte hain udhar phir kuchh dinon se ek khwab aankhon mein raha jis ke khubsurat rang-mahal ke tane-bane tamam mumkin pahluon par kase gae ummid ne bhi pith thapthapai thi kai taraf se sazgar hawaon ka bhi ehsas hua tha shayad ye meri khush-fahmi thi aur aaj jab wo khwab bhi bikhar gaya to mujhe barson pahle kahi hui wo nazm yaad aai jo ek aise hi khwab ki shikast par kahi gai thi mujhe khwab nahin dekhna chahiye ya phir is haqiqat se aankh mila lena chahiye ki agar khwab dekhna hai aur un ki takmil ki bhi aarzu hai to wo sab kuchh karna hoga jo aaj-kal khwabon ko sakar karne ke liye kiya jata hai