aaj phir se mausam badla hai

aaj phir se wo yaad aaya hai
un lamhon ka lams hathon mein baqi hai

khizan sard mausam ki rida odhe
bhatakne lagi hai phir se

yaad hai wo sab mujh ko ab bhi
isi tarah milte-julte mausam mein

samundar kinare lahren jab uchhalti kudti
pairon pe dam todti thin

mere zehn ke ek ek goshe mein
yaaden abhi bhi raqs karti hain

be-khudi mein ab bhi muskurahat
honton pe machalne lagti hai

falak par sitaron ke jhurmut mein
dur ufaq par chand jab chamakta tha

tab jalti bujhti raushni mein hum
ek dusre ka chehra takte rahte the

hawaen aa kar yun gudgudati thin
hanste hanste kai bar sansen

rukne lagti thin
aaj phir se is mausam mein

wo jhil si do aankhen
phir se yaad aai hain

jin mein ajab si ek khamoshi
tairti rahti thi suno aa kar bhi

phir se zard patte shor karte hain
phulon ke bain sune hain main ne

kahte hain sab mujh se
bad-gumani ho jis dil mein

mohabbat ho hi nahin sakti
main khadi hun jahan

wahan khamoshiyan aaj bhi baaten karti hain
aaj phir se mausam badla hai

aaj phir se wo yaad aaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close