aaj phir ye kah raha hun ya mujhe apnao ya meri kala mein dub jao ya to ek patthar bano ya phul ban kar muskurao main tumhaari khwahishon ke sath sab kuchh sah raha hun aaj phir ye kah raha hun zindagi ek fan hai, fan maya hai, maya ek jal mera fan bakhshega tum ko zahiri husn-o-jamal jo bhi chahogi, milega, phul jiwan ka khilega taj chaho taj de dun ya ajanta mang dekho jis tarah bhi dil kahe, meri kala ka swang dekho jo bhi mere fan se mangogi, tumhein mil jaega wo rang jo bhi dhyan mein laogi tum, muskaega wo han, magar phir kah raha hun jab ye sab kuchh pa chukogi, ek daulat kho bhi dogi mujh se nafrat hai magar ye husn-e-nafrat kho bhi dogi sab rahega main na hunga aur tum meri kala ke makr se ghabra uthogi, bich sagar ro padogi khud-bakhud chilla uthogi ek sagar ki taraf ab main bhi shayad bah raha hun aaj phir ye kah raha hun