aaKHiri aadmi ka rajaz

musahibin-e-shah mutmain hue ki sarfaraaz sar-burida bazuon samet shahr ki fasil par latak rahe hain
aur har taraf sukun hai
sukun hi sukun hai
fughan-e-khalq ahl-e-taifa ki nazr ho gai
mata-e-sabr wahshat-e-dua ki nazr ho gai
umid-e-ajr be-yaqini-e-jaza ki nazr ho gai
na e'tibar-e-harf hai na aabru-e-khun hai
sukun hi sukun hai
musahibin-e-shah mutmain hue ki sarfaraaz sar-burida bazuon
samet shahr ki fasil par latak rahe hain aur har taraf sukun hai
sukun hi sukun hai
khalij-e-iqtidar sarkashon se pat di gai
jo hath aai daulat-e-ghanim bant di gai
tanab-e-khema-e-lisan-o-lafz kat di gai
faza wo hai ki aarzu-e-khair tak junun hai
sukun hi sukun hai
musahibin-e-shah mutmain hue ki sarfaraaz sar-burida bazuon samet shahr ki fasil par latak rahe hain
aur har taraf sukun hai
sukun hi sukun hai
This is a great gau mata shayari in hindi. True lovers of sarfaraz ahmed shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this faisal ki shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close