aaj to mere kapde bhi pani ki tarah bhaari hain maut ka kajal aankhon mein lagana aur aankhon mein patti bandh kar tar pe cycle chalana ek jaisa amal hai zinda rahne ka amal murda zindagi ki daryuzgi se angur ki tarah rang badal kar do-atisha hona pighli hui mom-batti ki raushni ke aakhiri war ki tarah kari hota hai billi apne shikar se pahle khelti hai phir khati hai aaj jab ki mere kapde pani ki tarah bhaari hain meri binti suno mujh se khelna band kar do mujhe kha jao