chand tuta pighal gae tare qatra qatra tapak rahi hai raat palken aankhon pe jhukti aati hain ankhdiyon mein khatak rahi hai raat aaj chhedo na koi afsana aaj ki raat hum ko sone do khulte jate hain simte-sukde jal ghulte jate hain khun mein baadal apne gulnar pankh phailae aa rahe hain isi taraf jangal gul karo shama, rakh do paimana aaj ki raat hum ko sone do sham se pahle mar chuka tha shahr kaun darwaza khatkhatata hai aur unchi karo ye diwaren shor aangan mein aaya jata hai kah do hai aaj band mai-khana aaj ki raat hum ko sone do jism hi jism hain, kafan hi kafan baat sunte na sar jhukate hain amn ki khair, kotwal ki khair murde qabron se nikle aate hain koi apna na koi begana aaj ki raat hum ko sone do koi kahta tha, thik kahta tha sar-kashi ban gai hai sab ka shiar qatl par jin ko e'tiraaz na tha dafn hone ko kyun nahin tayyar hosh-mandi hai aaj so jaana aaj ki raat hum ko sone do
Please share if you liked this!!!