aah sad-afsos hai phir aam rukhsat ho gaya jis ko khata tha main subh-o-sham rukhsat ho gaya kyon na us gham par padhun main inna lillah dosto dar-haqiqat rab ka ek inam rukhsat ho gaya hausla rakh muntazir rah mausam-e-garma ka phir bain mat kar ab dil-e-nakaam rukhsat ho gaya dekhne se jis ke hoti thin nigahen shad-baad jis se pata tha ye dil aaram rukhsat ho gaya rokna chaha bahut lekin wo nikla bewafa aakhirash mahbub-e-khas-o-am rukhsat ho gaya phiki lagti hai mujhe to zindagi us ke baghair kaif-o-lazzat ka wo shirin jam rukhsat ho gaya sair kya hoti tabiat batn hai khali abhi chhod kar wo mujh ko tishna-kaam rukhsat ho gaya ab kisi ke jal mein ye qaid ho sakta nahin tha 'asar' jis ka asir-e-dam rukhsat ho gaya