kiraya makan ka ada karne jaun ki bazzaz o khayyat ka bil chukaun dawa laun ya doctor ko bulaun ki main tex walon se pichha chhudaun khuda-ra batao kahan bhag jaun main is dhedh aane mein kya kya banaun bahut badh gaya hai makan ka kiraya idhar nal ke aab-e-rawan ka kiraya baqaya hai 'barq-e-tapan' ka kiraya zamin par hai ab aasman ka kiraya hai bachchon ki fees aur chanda zaruri kutub copiyon ka pulanda zaruri shikam-parwari ka hai dhanda zaruri ye aadam ki ijad-e-banda zaruri bala ke masarif hain kya tab laun main is dhedh aane mein kya kya banaun azizon ki imdad mehman-nawazi gharibon ko khairaat ehsan-taraazi khurak aur poshak mein duniya-sazi idhar film ka shauq aur udhar ishq-bazi zaruri yahan cigarette aur pan bhi hai adalat mein jaane ka imkan bhi hai hai bhangi bhi dhobi bhi darban bhi hai aur ek sadi wale ki dukan bhi hai kahan jaun kis kis se pichha chhudaun main is dhedh aane mein kya kya banaun hain mele bhi islami tyauhaar bhi hain hum aise mawaqe pe khuddar bhi hain bahut kharch karne ko tayyar bhi hain bala se jo be-barg-o-be-bar bhi hain kise dastan-e-masarif sunaun main is dhedh aane mein kya kya banaun
This is a great cigarette shayari facebook. True lovers of film shayari in hindi will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this shayari text is truly a work of art. Please share if you liked this!!!