aankhen aahan-posh na hongi

sari diwaren
dheh gain

inton ke girne ki aawazen
ehsas ban gain

mera zira-baktar
tukde tukde ho kar bikhar gaya

aur aankhen aazad ho gain
amr-o-nawahi ke maani jaanne ke ba'd

ahkaamon ka raaz khula
bai'at ka matlab samajh mein aaya

aur
hath duaen mang uthe

mere khun se sho'le bhadke
takht-o-taj mein aag lag gai

ahkaam sunane wali
insanon ko kodon ke bal par

har pal nach nachane wali aawaz
ab khaif thi

apne rab se apne dil se
kya diwaren

phir sare wajud ko dhak lengi
shayad

jab tak dil mahkum rahega
aankhen aahan-posh na hongi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close