jaane kya baat hui tum ne apni rahen badlin aankhen pherin apna rukh mod liya tum ko dhundne niklungi jab aankhen baadal ban jaengi gham ke sae badh jaenge rah mein patthar aa jaenge rah ke kante chunte chunte panw bhi chhalni ho jaenge zakhm sarapa ban jaungi gham ki shiddat rah andheri main pagal ho jaungi diwaron se baaten karke apna ji bahlaungi kuchh to tum ne socha hota