jab har sans ek nashtar hua har lamha khanjar ki tarah jine ko lalchata dil barmata ho jab bechaini se ghabrahat se uljhi ungliyan apni daraaz mein rakhe cyanide ke packet ko dhund rahi hun jab raat andheri mayusi aur udasi be-zari se aur bhi ziyaada gahna jae dard aur karb ki chadar odhe badhti jae phailti jae aise lamhon mein dur sitaron jaisi aankhen ek mitha sa git guzre lamhat mein yaadon ka sangit sunati hain dil ke tukde karne wali khwabon ko bakhshish dene wali ek jhalak shukriya tera kaise ada ho