aape ranjha hoi

maghribi sahra ke kinare kundan ke phul khilna shurua ho gae hain
mashriqi sahra ke bichon-bich khadi sundari ki nak ka laung murjha gaya hai

ye kis tarikh ke akhbar ki khabar hai
koi ishtihaar hai kya

diwaron pe lakiren na dalo mitaoge to tumhaare hi hath kale honge
han khel khel mein hi dallali sikh jaoge koelon ka to bahana hai

koele chaar-din aur dahak rahe hain
pankhe mere dil mein lage hain mujhe ab bhi sardi lagti hai

barf ki wo dali pighalti kyun nahin jis ki aaine jaisi sath par
mera chehra bhi mujhe dikhai kyun nahin deta darmiyan kaun hail hai

garm larazte hue aansu aur milne ki ta-hang
aansuon ke jhakole mein hamare chehre dislocate ho gae hain

aur phir sans se sans na mili
dam mein dam na aaya

ranjha ranjha kukdi main aape ranjhan hoi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close